Apni Raah
Ab kisi ke peeche chalna nahi, Apni raah khud banani hai, Jo saath chalna chahe chale, Warna tanha hi sahi, manzil toh paani hai.
Munna Momin
Motivation
The Collection
Every piece is published by hand. Search across titles, lines, authors, categories and tags — or start from the index and browse slowly.
70 pieces
Ab kisi ke peeche chalna nahi, Apni raah khud banani hai, Jo saath chalna chahe chale, Warna tanha hi sahi, manzil toh paani hai.
Munna Momin
Motivation
Sabr rakho, Har cheez ka waqt hota hai, Jo aaj tumse door hai, Kal wahi tumhari qadr samajh sakta hai.
Munna Momin
Motivation
Yaad unki aati hai, Jinhein bhoolne ki koshish karte hain, Warna jo dil mein rehte hain, Unhein yaad karne ki zaroorat nahi hoti.
Munna Momin
Love
Akele chalne se kabhi darrna nahi, Raaste aksar wahi khoobsurat hote hain, Jahan bheed kam aur sukoon zyada hota hai.
Munna Momin
Love
Wafa ka matlab sirf saath rehna nahi, Balki door rehkar bhi sachcha rehna hai, Mohabbat alfaaz se nahi, Niyat se pehchaani jaati hai.
Munna Momin
Love
Bharosa tootne ki awaaz nahi hoti, Magar uske baad rishta pehle jaisa nahi rehta, Dil maaf kar deta hai, Lekin yaadein sab yaad rakhti hain.
Munna Momin
Life
Jahan dil ki qadr na ho, Wahan rukne ki wajah kya hai, Khamoshi se rukhsat ho jao, Kyunki har jagah apna hona zaroori nahi.
Munna Momin
Motivation
Waqt ne ek baat sikha di, Apna har woh nahi hota jo paas hota hai, Aur paraya har woh nahi hota jo door hota hai.
Munna Momin
Life
Sukoon chahiye toh umeedein kam kar do, Har shakhs se wafa ki umeed mat rakho, Kuch log sirf sabaq ban kar aate hain, Zindagi bhar saath dene nahi.
Munna Momin
Life
Mohabbat apni jagah khoobsurat hai, Magar khud ki izzat bhi zaroori hai, Jo tumhein mohabbat ke naam par tod de, Usay mohabbat kehna bhi galat hai.
Munna Momin
Love
Har kisi ko jawab dena zaroori nahi, Kuch jawab waqt khud deta hai, Aur waqt ka diya hua jawab, Insaan kabhi bhool nahi paata.
Munna Momin
Life
Jo dil se utar jaaye, Usay phir nazron mein dhoondhna kaisa, Jo apna rehna nahi chahta, Usay apna kehna kaisa.
Munna Momin
Sad