Skip to content
All Shayari
Sad#judai#yaad#dard

Tere Baad

— Sameer Momin

Tere baad muddat se koi shaam poori nahi hoti, Adhuri si reh jaati hai har baat, har dua, har raat. Main phir bhi teri gali se guzarta hoon roz, Kyunki yahin kabhi hum dono ka tha ek saath.

2,431 views

Published 06 September 2026

Keep Reading

Matched by category, shared tags and author — never at random.

Sad2,688

Aakhri Khat

Maine aakhri khat bhi tujhe likha tha, Bas post karne ki himmat nahi hui. Woh khat ab bhi mez ki drawer mein hai, Jaise koi purana waqt wahi tham gaya ho.

khatalvidayaad

Sameer Momin

Sad

Read More
Sad1,725

Aadatein

Sabse mushkil cheez yaadein nahi, aadatein hain, Woh gali jo har roz teri taraf jaati hai. Haath utha kar salaam karke laut aata hoon, Kyunki ab us raaste se koi milta nahi.

aadatwapsikhali

Sameer Momin

Sad

Read More
Sad0

Dil Se Utar Gaye

Jo dil se utar jaaye, Usay phir nazron mein dhoondhna kaisa, Jo apna rehna nahi chahta, Usay apna kehna kaisa.

diljudaidard

Munna Momin

Sad

Read More
Sad0

Dooriyan

Kuch logon se door hona zaroori tha, Dil ko sukoon dene ke liye, Har rishta nibhaya nahi jaata, Kuch rishton ko chhorna bhi padta hai.

dooriyandardsukoon

Munna Momin

Sad

Read More